Friday, December 16, 2011

A friend's dedication to me...

Before writing what my friend dedicated to me i would first mention its importance.For someone it may be just the compilation or rhyming of lines,for me it means treasure.Thanks a lot ANKUR for engraving these lines on my life.Getting something like this from a person who is not even an expert writer makes it more special and what makes it even more special that he engrossed his soul into it to bring my soul in his writing.

Here i am presenting a beautiful work by Ankur Jain:

Dhuan banakar hawa mein uda diya usko,
woh jal rahi thi kisi aur ne jala diya usko,

Jise kadam kadam par aazmaaya gaya woh waqt thi woh,
shayad isi tarah likhi uski taqdir khuda ne,
jise chahne wala toh mila..par chaha na gaya aisi shaqs thi woh,

Dil ki kitaab kuch iss tarah bana rahi thi woh,
har panne mein apna dard chupa rahi thi woh,
kisiko uske dard ka pata na lage,
isiliye sabke aagey muskura rahi thi woh,
Kuch fitrat hi aisi thi uski,
ke sabko jeena sikha rahi woh,

woh mausam..woh fiza bhi uski numi ke aagey kuch num si thi,
par kya karein aay zalim,
uske haathon mein mohabbat ki lakeerein kuch kum hi thi,

Mayus hai woh kuch iss ehsaas se inkar karti thi,
bhari mehfil mein kuch baat use rusva karti thi,
yakeen tha use ke saari duniya khafa hai usse,
par pata nahi kyun mujhpar aitbaar karti thi,

Abhi chalna tha usey..raste ko manzil woh maanti kaise,
jin unchaiyon ko chumna tha..use chume bina haar maanti woh kaise,

Apni chahat ko aankhon mein jalakar kuch khadi hui thi woh aise,
ke maano uske saath kuch hua hi naa ho jaise,

Uske daman par ashqon ke nishaan kuch reh gaye,
khamosh lab se guzari raaton ki dastan humse keh gaye,
bhula rahi thi woh apne ashqon ko ek bure sapne ki tarah,
apna hausla bulandh aagey kar badh rahi thi woh,

Ab manzil bhi usi ki thi,
raasta bhi usi ka tha,
sapne bhi uske the,
hausla bhi usi ka tha,

Aksar mera dil kehta hai...

Kuch Khuda bhi usi ka tha.......

No comments:

Post a Comment