Sochta tha main muqaddar mein mere veeraniyaan likhi hain...
Aahista aahista ehsaas hua aagey baaki kahaniyaan kitni hain...
Kabhi buland tha,kabhi jhuk gaya...
Rotey rotey pata nahi main kab has gaya..
Band darwaaze ki or meri aankhein tiki thi...
Kisiki yaad mein aankhein bichi thi..
Na koi aaya..na hui koi dastak..
Chalo accha hi hua! mere naseeb mein likhi thi khushiyaan hadon ki hadh tak...
Duniya ki bandishon se main beghana tha...
Main toh bas ek alhad deewana tha...
Kya yahi bangayi meri saza..
Khuda se ki thi maine bas ik choti si raza...
Meri khwahishon se bade the Khuda ke faisle...
Shayad isiliye mile kaante,Taqdeer mein aagey likhe the gulaabon ke guldastey..
Ek woh bhi waqt tha,jab ansuni thi meri har pukaar...
Aaj yeh bhi waqt hai jab mere sunne wale hain hazaar...
Main bhi kum nahi tha! Chattaan ban gaya..
sulaghti aag ke aagey toofaan ban gaya...
Jab haske piche dekha toh sab dhundla hogaya...
Zindagi ke panno par likha har dard halka hogaya...
Behtar aaj mein AQS..mera bura kal kahin khogaya....
This poem emboldens the fact that how nothing is constant in this world..and so our sorrows.If once time can be gloomy in our life,the next moment will surely bestow happiness on us.
Bad not always suggests bad..it is sometimes harbinger of better prospects in future.
All is required is tenacity,belief in Almighty who is the source of every goodness and a positive outlook...
World can appear worse,but its not.This life always keeps telling us This IS NOT THE END :)
Be happy and optimistic! :)
most people think that only pain leads to good piece of work in any form of art. You prove them wrong.
ReplyDeleteKuchh khas hai aapki kalam mein...sahej kar rakhiyega!!
Shukriya aapki hausla afzaai aur tareef ke liye :)
ReplyDeletewo kalam mujhe dedo plz......
ReplyDeletehaha...manish ji bilkul le lijiye..........
ReplyDelete