Friday, January 25, 2013

Har ladki...har aurat ke dil ki awaaz ko bayaan karne ki ek koshish....

Kahin chaar deewaari mein na dab kar reh jaaye mere armaano ki goonj..
Kahin zaaya na hojaaye mere khoon pasine ki har boond..

Kyun meri soch ka gala ghont diya jaata hai..
Bas yahi mere samjh ke pare hojaata hai..

Mere astitv ka sauda karne ki bhool bhi mat karna..
Main chup chap sehmi si reh jaungi yeh sochne ki himmat bhi mat karna..

Kabhi yeh antar toh kabhi woh antar bata batakar mujhe hi meri zindagi se alag kardete hain..
Mehez ek kathputli banjaun isi koshish mein rehte hain..

Na jaane kitni lakshman rekhaon ki mujhe duhaai di jaati hai..
Koi toh uthaaye ungli un par jinhone apni insaaniyat hi bech khaayi hoti hai..

Pehle riwaayaton mein baandhkar mujhe sabse uncha darja de diya jaata hai..
Dusri taraf mere aurat hone ka hi bahishkaar kiya jaata hai..

Puchon parivaaron se,pucho samaj aur sarkaar ke thekedaaron se,pucho har ek us aadmi se..
Ke insaan hone ke haq maang rahi hun,insaan hone ki azaadi maang rahi hun..
Kya zyada maang rahi hun?

Karti gayi bardasht sadiyon se yeh utpidan..
Ab baahein phaelakar aankhon mein aankhein daalkar,buland awaaz se kehti hun khilona nahi hai mera jivan..

Haan! thodi der kardi maine awaaz uthaane mein..
Bolne mein,apni baat manvaane mein..

Ab buland khadi hun,bebaak khadi hun,mere rom rom mein azaadi hai..
Tumse mujhe kuch maangne ki zarurat nahi hai,meri zindagi ki law mein abhi aag bahut baaki hai...

.....

No comments:

Post a Comment