"Benoor ko noorani karde aisi hai Maa..
Bujhti zindagi ki aas hai Maa..
Iss zindagi ke haqdaar hum nahi,yeh zindagi hai Maa..
Khwaabon se bhi khubsurat..kali se bhi makhmal tumhara ehsaas hai Maa..
Main toh lafzon ka mauhtaj tha..tumne toh dhadkan sunli Maa..
Meri saaz aur awaaz hai Maa..
Duniya ki chakachaund mein ulajhkar gaya tha pardes khushiyaan aur aaram khareedne..
Kahan se laau tera sparsh..ab aankhen lagi bheegney..
Zindagi khafa si lagti hai..har chiz bewafa si lagti hai..ab laut aana chahta hun
Maa..
Bada behis nikla main..phir bhi meri yaad mein aankhen nam karti ho Maa..
Aise hi nahi inke kadmo mein jannat..Iss Khuda ki Khudaai hai Maa..."
No comments:
Post a Comment